Zabūr  
Pahlī Kitāb: 1-41 
 1
Do Rāheṅ 
 1 Mubārak hai wuh jo na bedīnoṅ ke mashware par chaltā, na gunāhgāroṅ kī rāh par qadam rakhtā, aur na tānāzanoṅ ke sāth baiṭhtā hai 
 2 balki Rab kī sharīat se lutfandoz hotā aur din rāt usī par ġhaur-o-ḳhauz kartā rahtā hai. 
 3 Wuh nahroṅ ke kināre par lage daraḳht kī mānind hai. Waqt par wuh phal lātā, aur us ke patte nahīṅ murjhāte. Jo kuchh bhī kare us meṅ wuh kāmyāb hai. 
 4 Bedīnoṅ kā yih hāl nahīṅ hotā. Wuh bhūse kī mānind haiṅ jise hawā uṛā le jātī hai. 
 5 Is lie bedīn adālat meṅ qāym nahīṅ raheṅge, aur gunāhgār kā rāstbāzoṅ kī majlis meṅ maqām nahīṅ hogā. 
 6 Kyoṅki Rab rāstbāzoṅ kī rāh kī pahrādārī kartā hai jabki bedīnoṅ kī rāh tabāh ho jāegī.